makan se dur kahin la-makan mein rahti hun zamin pe hote hue aasman mein rahti hun hai jis ke hath mein ye bag-dor aalam ki bahut sukun se us ki aman mein rahti hun khabar jo lene chale ho ye haalat-e-dil hai mujhe khabar hi kahan kis jahan mein rahti hun waraq waraq pe hain phaile huruf-e-na-bina mohabbaton ki har ek dastan mein rahti hun husul-e-ishq ki sab kawishen hain la-hasil main dastaras se pare ek jahan mein rahti hun har ek talab se hui be-niyaz-o-begana basa ke dil mein use aastan mein rahti hun safir ban ke hawaon ki dur tak jaun main musht-e-khak hun mauj-e-rawan mein rahti hun