ek ajib rag hai ek ajib guftugu sat suron ki aag hai aathwin sur ki justuju bujhte hue mere khayal jin mein hazar-ha sawal phir se bhadak ke ruh mein phail gae hain chaar-su tira-shabi pe sabr tha so wo kisi ko bha gaya aap hi aap chha gaya ek sahab-e-rang-o-bu hansti hui gai hai subh pyar se aa rahi hai sham teri shabih ban gai waqt ki gard hu-ba-hu phir ye tamam silsila kya hai kidhar ko jaega meri talash dar-ba-dar tera gurez ku-ba-ku khun-e-junun to jal gaya shauq kidhar nikal gaya sust hain dil ki dhadkanen tez hai nabz-e-arzu tera mera qusur kya ye to hai jabr-e-irtiqa bas wo jo rabt ho gaya aap hi pa gaya numu main jo raha hun be-sukhan ye bhi hai ehtiram-e-fan yani mujhe aziz thi apni ghazal ki aabru