makhmur chashmon ki tabrid karne kun shabnam hai sardab shoron ki manind rupe ke thaale safedi hai nargis ki zardi hai zar ke katoron ki manind darai-e-surkh in jama-zebon ne aashiq ke lohu se rangin kiye hain be-khud ho kahta hun kya khub lagte hain mere kaleje ke qoron ki manind ai dast-e-mashata tun jab sen pahuncha hai us zulf-e-mushkin ki shana-e-kashi kun aashiq ki aahon ke in saf rishton mein girhan hain ungli ki poron ki manind ye tangi unhon ke dahan ki na pawega apne gareban mein sar ko nawa tun ai ghuncha baghi ho mahtab-ruon sin mat khanda-pan kar chakoron ki manind dil ke khazane sen shayad lejawega ji ke jawahar kun ayyariyon sen har dam khayal us ka aankhon ke rauzan sin aata hai chhup-chhup ki choron ki manind gham ke pahadon kun sar par uthae hain wahshat ke panjon sin aahon ne meri dil ke akhade mein ab kaun ham-sar hai un pahalwanon ke zoron ki manind parwana rangon ke urs-e-judai mein sair-e-charaghan hai jaan-e-'siraj' aaj raushan fatile hain aahon ke shoalon ke sine mein kore sakoron ki manind