har roz hamein ghar se sahra ko nikal jaana kheton ka maza lena jangal ko nikal jaana ji kyun na bhala un ki phir bhaun pe lage apna ek wusat-e-mashrab ke hai sath ye virana sath pe zamin ki hai ta-hadd-e-nazar sabza kya sair ka aalam hai apna hai na begana hum ishq-e-haqiqi ke ye rang samajhte hain ne laila na majnun hai ne shama na parwana jis husn ke jalwe hain aarif ki nigahon mein wo husn banawe hai kabe ko sanam-khana diwana-e-shahri to diwar ka saya le sae mein mughilan ke baithega ye diwana ghurbat ke bayaban mein hai 'mushafi' aawara ai khizr-e-khajista pe tuk rah tu batlana