makr-o-ayyari ka daman chhod de aql se ghairat ka rishta jod de zarf hai to mod le kuchh panw aur chhoti chadar ki shikayat chhod de jag-hansai ho na jae phir kahin be-sabab auron pe hansna chhod de zulm ko bardasht karna jurm hai zalimana feal ka dam tod de dil ke donon harf hote hain juda ho sake to tute dil ko jod de zehn ko shaffaf dil ko pak rakh aainon se tu ulajhna chhod de manzil-e-maqsud pane ke liye zindagi ko ek naya sa mod de