nasihat se meri ye sau kos bhage tilangon ki haq mein jaise bhutiya hai main baithun zamin par ye baithe saman par kuja takht-e-shahi kuja boriya hai karen ja-ba-ja log par ka kabutar har ek baat ka mach raha tutiya hai zamane ka ye haal aur dil ka ye haal kaho kis tarah rahti sharam aur haya hai bhanwar bich gham ke main dalon aur uchhlun ye kahta hai mujh se ki tu marjiya hai main sau sau dafa tera phada gareban bata tu ne kis se waste phir siya hai tu hai maut ka dher mat bol mujh se amar hun main ne aab aab-e-haiwan piya hai mere sani nai hai koi ab jahan mein falak ke kanguron ko main ne chhiya hai khuda hun sada aashiqi par main usi ki wo jo qais sahra mein ek ho gaya hai khuda ki taraf jin ne dil ko lagaya hua faz us ke se wo ambiya hai mere ji mein aawegi so hi karunga main mukhtar hun mera karam khurda hai sunen dal ke munh se main jab aisi baaten khuda shahid hai main ne ro ro diya hai phir aakhir ho lachaar mein haar baitha ye ladne ke tain mir khan thokiya hai kahun kya kya yaro main dil ke tamashe ye to swang lane ko bahrupiya hai na bik aage ab 'nayan' khamosh ho ra ye dil hai tera yar langotiya hai