maktabon mein kahin ranai-e-afkar bhi hai khanqahon mein kahin lazzat-e-asrar bhi hai manzil-e-rah-rawan dur bhi dushwar bhi hai koi is qafile mein qafila-salar bhi hai badh ke khaibar se hai ye marka-e-din-o-watan is zamane mein koi haidar-e-karrar bhi hai ilm ki had se pare banda-e-momin ke liye lazzat-e-shauq bhi hai nemat-e-didar bhi hai pir-e-mai-khana ye kahta hai ki aiwan-e-farang sust-buniyaad bhi hai aaina-diwar bhi hai