mal kuchh shai hai na kuchh sahib-e-saman hona bais-e-fakhr hai insan ko insan hona shoala sar dhunta hai kis sokhta-jaan ke gham mein sog mein kis ke hai ai shama ye giryan hona nala-kash gham se na ho fasl-e-khizan mein bulbul khas aabaadi ke aasar hain viran hona surat-e-zakhm-e-jigar hanste hi rota hun lahu yan mayassar nahin dam bhar ko bhi shadan hona dast-e-wahshat ki khata hai na junun ki taqsir apni taqdir mein tha chaak-gareban hona han khabar-dar ki anjam-e-masarrat hai malal surat-e-gul na khushi se kabhi khandan hona shamil-e-haal agar fazl-o-karam ho us ka sahl hai mushkil-e-dushwar ka aasan hona khak ho jae to ho aankh mein jae insan kaam aaya mera yun gard-e-bayaban hona baat mein baat na ho to wo sukhan kya 'raushan' dawa aasan hai mushkil hai sukhan-dan hona