mal-o-daulat par ai insan itna kyon itraata hai

mal-o-daulat par ai insan itna kyon itraata hai
bhul kar miskinon ko maghrur kyon ban jata hai

haal-e-dil apna sunaen to sunaen kaise hum
ru-ba-ru ho kar bhi wo hum se bada sharmata hai

rahte hain mayus jo malum kar len wo zara
kahte hain mayus rahna kufr tak le jata hai

loha tap kar aag mein jab surkh sa ho jata hai
ban ke wo talwar phir zalim se ja takraata hai

ek jaisa waqt kis ka rahta hai 'gulzar' yan
waqt to achchha bura sab hi par aata jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close