kisi patthar ko chaha hai ye dil kaisa diwana hai

kisi patthar ko chaha hai ye dil kaisa diwana hai
mohabbat hai use us se jise chahe zamana hai

karun aankhen jo apni band dikh chehra wo jata hai
kabhi chhutega na mar ke bhi ye rishta purana hai

mere marne ke hain jhagde to mujh ko mar hi jaane do
meri hi ghalati hai sari tumhaara ye bahana hai

do moti dekhe hain main ne bichhadte us ki aankhon se
sitare jo juda hain chand se un ko churana hai

bina bole wo mujh se har ladai jit jata hai
na hai talwar na khanjar magar jaan ko bachana hai

wo meri qabr pe aaya magar kis haq se aaya hai
chaman barbaad kar ke ab charaghon ko bujhana hai

kuan tha pas mere phir bhi main pyasa hi lauta hun
use main pi nahin sakta magar khud ko dubana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close