malal umr-e-gurezan ka karte rahte hain ye log zinda nahin roz marte rahte hain hawas ka zor kisi taur kam nahin hota qanaaton ke gharaunde bikharte rahte hain diye bujhana girana gulon ko shakhon se hawa ke hath sada kaam karte rahte hain ye dil gae hue logon ki yaad se raushan is aaine mein bahut aks ubharte rahte hain kisi tasalsul-e-zanjir ke siwa kya hain jo log roz nazar se guzarte rahte hain gali mein ghum rahe hain firaq ke aaseb makan band kiye hum bhi darte rahte hain kisi bhi khwab ki takmil ghair-mumkin hai jo kaam ho nahin sakta wo karte rahte hain