shahid-e-arman paDe hain bismil khaDa wo talwar ka dhani hai

shahid-e-arman pade hain bismil khada wo talwar ka dhani hai
idhar to ye qatl-e-am dekha udhar wo kaisi kata-chhani hai

hua hai nairang aaj kaisa ye dil mein qatil ke kya thani hai
jidhar se guzra zaban se nikla ye kushtani hai wo kushtani hai

bigad ke hum ko bigad dala sanwarna hi tumhein na aaya
bano jo munsif bataen dilbar ki is bigadne se kya bani hai

kabhi hansati hai yaad teri kabhi rulata hai hijr tera
ye qabil-e-did hai tamasha ye sair-e-be-mehr didani hai

suna hai maqtal mein aaj koi qatil-e-hasrat shahid hoga
hui jo shohrat ye shahar mein hai har ek taraf ek sansani hai

karam hai dariya-dilon ki zinat kahan bakhilon ki hai ye tinat
use tawangar nahin kahenge jo koi mohtaj-e-dil ghani hai

shikast-e-paiman ka hum ko aadi kiya hai ek mast-e-nosh-e-lab ne
ba-maslahat hum hue hain taib ye tauba aakhir shikastni hai

dikha ke hum ko jamal-e-rana kiya hai kyun rah-naward-e-wahshat
bane the khud rahnuma hamare ye rahbari mein bhi rahzani hai

tariq un ka hi sulh-e-kul hai jo be-hama ba-hama nazar hain
hamein ye bartaw ne dikhaya ki dosti mein bhi dushmani hai

wafa-shiari hai jaan-nisari hai uzr-e-shikwa na arz-e-matlab
hamin hain ek be-nazir talib harif jo hai wo yak-fani hai

wo aaya turbat pe bewafa gul har ek se afsurda ho ke puchha
ye kis ki mashhad pe hai charaghan jo ibrat-angez raushni hai

fana-e-qalbi hai fath-e-aini hua hai gar mahw sharh-e-sadri
yahi hai miftah-e-dil-kushai ye kashf-e-baatin ki jaankani hai

hue jo ye mubtala-e-ulfat asir dam-e-visal ke hain
hawa-e-zulf-e-khayal-e-jaanan bani hui tauq-e-gardni hai

ye kis qalandar ko mar dala ghazab kiya jama-posh-e-nakhwat
khada hua ro raha hai jazba giri hui pak-damani hai

kabhi na honge murid-e-jiddat nahin hain mushtaq-e-husn-e-bidat
hamara mashrab hai sufiyana hamara mazhab sanatani hai

kiya hai ibrat-misal kaisa khayal-e-ibrat-nazar ne hum ko
karen talluq kisi se kya hum jo shakl dekhi guzishtani hai

sifat mein zat hai numayan hui wo baaligh-nazar hai nisbat
kiya hai mahw-e-jamal-e-jaanan ye sair-qalbi ki raushni hai

na hon gharabt-asar ye ai dil nuqush-e-nairang-e-shan-e-fitrat
koi hua be-niyaz-e-alam koi hai muflis koi ghani hai

hue na isar o buzl se ai karim hum mustafiz ab tak
tumhaara shewa jo hai sakha ka pasand-e-akhlaq-e-mohsini hai

firaqe-e-gul se jo nala-kash hai qafas mein bulbul shahid-e-jalwa
bahaar-e-gulshan khizan-numa hai junun-zada abr-e-bahmani hai

mila na jam-e-sharab 'saqi' koi qadah bang ka ata ho
hamare pir-e-mughan khizar hain subu mein sabzi bhi to chhani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close