malal ye hai masail ka hal banate hue

malal ye hai masail ka hal banate hue
ganwa ke baith gae aaj kal banate hue

ghise-pite hue lahjon mein kuchh nahin rakkha
naya hi rang nikalo ghazal banate hue

ba-zahir ek hi pal mein badal gaya sab kuchh
kai zamane lage ek pal banate hue

kahan se dhund ke laoge ab mere jaisa
khayal karte mujhe be-badal banate hue

ajib shoala-e-ehsas ki lapet mein hain
jhulaste jate hain kaghaz pe thal banate hue

ye regzar ye andhi hawa ye phul si jaan
bikhar chala hun irade atal banate hue

lahu mein lahr uthati hai us ki yaad to kya
safine chalte hain dariya mein chhal banate hue

pata hai kitni mashaqqat uthani padti hai
kisi khayal ko zarbul-masal banate hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close