sirf patri bani rahi mujh mein rail-gadi nahin chali mujh mein kuchh na kuchh kuchh se kuchh nahin bante aise kuchh kuchh pade kai mujh mein us ki aankhen banai machis pe ek cigratte si jal gai mujh mein gham ke khaliq ne mujh se puri ki thodi si bhi nahin kami mujh mein mir ki lek tuk mein atke hain kuchh riwayat ke mushafi mujh mein falsafa khauf dukh khushi kuchh sher rahte hain itne aadmi mujh mein saste saude mein bechna tha mujhe mahngi qimat likhi gai mujh mein ghaur se dekh phir se ek bari baat ab bhi nahin bani mujh mein arabi ko nikalta hun main thuns dete hain farsi mujh mein jis ko bahar se tha ghataya kabhi aur andar se badh gai mujh mein baith sakti ho mere andar tum ab musibat nahin khadi mujh mein