man ke bargad tale angaron ki mala bhi japi mujh se gautam ki tarah aag mein champa na khili raat tanhai ne kamre mein jo karwat badli nind aankhon ko kisi sanp ke phan jaisi lagi mere hi sans se mere hi badan ki chadar kaun samjhae kise aae yaqin kaise jali is bhare shahr mein apnaya kisi ne na jise main ne dekha to 'razi' lash wo meri nikli