kya kya mohabbaton ke zamane badal gae ab tum kabhi mile ho to aansu nikal gae fart-e-gham-e-hawadis-e-dauran ke bawajud jab bhi tere dayar se guzre machal gae main nukta-chin nahin hun magar ye bataiye wo kaun the jo hans ke gulon ko masal gae kuchh dast-e-gul-farosh mein sanwla ke rah gae kuchh baghban ki barq-nawazi se jal gae tum ne hamein fareb-e-qayaadat diya to hai lekin kabhi hua hai ki tufan tal gae ek wo bhi the jo bah gae maujon ke sath sath ek hum bhi hain jo kha ke thapede sambhal gae