man ke sagar mein koi tufan uThao

man ke sagar mein koi tufan uthao
kaisa sannata hai ek patthar to phenko

aadmi hai reza-reza kyon na puchho
infial-e-agahi bhi kash dekho

band kamre ke darichon ko to kholo
waqt ke suraj ki kirnon ko na roko

rasta mera zamane se alag hai
tum raqib apna mujhe bhi kyon samajh lo

tanz ke patthar na phenko meri jaanib
khalwat-e-dil mein bhi meri aa ke jhanko

aae takra kar jo sar koh-e-giran se
us ko badh kar phir samundar mein dubo do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close