man ki mai ho to piyale nahin dekhe jate ishq ho jae to chehre nahin dekhe jate main bigadte hue bachchon ko bhi kab dantta hun mujh se rote hue bachche nahin dekhe jate hamla-awar ko main ab khud hi riyasat de dun apne logon pe ye hamle nahin dekhe jate tairna aata hai to chhod mujhe tu to nikal mauqa aisa ho to wade nahin dekhe jate us ki khamoshi andhere ka sabab banti hai mujh se ab aur andhere nahin dekhe jate apne kashmiri labon se tu gira sharm ke band dubne waqt kinare nahin dekhe jate main koi hath bhi thamun to ye dil thamta hai mujh se qismat ke sitare nahin dekhe jate