zahr ke ghunt pi rahe hain hum teri nazron mein ji rahe hain hum khub hai sozan-e-mizha bhi teri dil ke zakhmon ko si rahe hain hum ghar to ghar sar diye hain ghurbat mein dasht mein bhi sakhi rahe hain hum shokh hon mai-kade hon mahfilen hon har jagah muttaqi rahe hain hum tere kuche ki guftugu hai fuzul tere to dil mein bhi rahe hain hum pesh-e-khidmat hain kausar-o-tasnim kushta-e-tishnagi rahe hain hum de diye rotiyon samet shutur muflisi mein ghani rahe hain hum nafs ke shar se 'hilm' bach ke raho muddaton se dukhi rahe hain hum