man mat kar aashiq-e-be-tab ka arman man jaan kar anjaan mat ho muj kun tu be-jaan jaan fikr apni nahin mujhe hai us ki bad-nami ka khauf mujh kun nam-o-nang ki hai har ghadi har aan aan tir o khanjar mein nahin hai aab-dari is qadar tujh nigah ki dekh kar jaldi hua qurban ban dasht-e-wahshat mein nipat be-kas hun ai aahu-nigah hun bhikari wasl ka de muj kun is maidan dan qatl karne par tere hai tegh-bar-kaf wo sanam sar-kashi mat kar 'siraj' ab jaan ka farman man