tauf-e-haram na der ki gahraiyon mein hai jo lutf un ke dar ki jabin-saiyon mein hai hairat nigah-e-shauq ki paspaiyon mein hai jalwa ba-zat-e-khud hi tamashaiyon mein hai zahir ye kar rahi hain shab-e-gham ki nuzhaten koi chhupa hua meri tanhaiyon mein hai duniya-e-rang-o-bu se guzar kar pata chala poshida koi ruh ki gahraiyon mein hai pata hun un ko har nafas-e-iztirab mein mauj-e-sakun bhi dur ki angdaiyon mein hai mera junun-e-shauq hi kyun ho qusur-war shamil teri nigah bhi ruswaiyon mein hai ai sham-e-pur-ghurur zara ghaur se tu dekh ye kis ki raushni teri parchhaiyon mein hai is ke liye 'shakil' khizan kya bahaar kya duba hua jo husn ki ranaiyon mein hai