man-mauji hai ek dagar mein rahta hai dil ka dariya roz safar mein rahta hai ek patang udti hai meri soch mein roz dor liye wo pas-manzar mein rahta hai kaun lakiren khinch raha hai aangan mein kaun hai jo is khali ghar mein rahta hai roz main in galiyon ki khair manati hun roz ek shoala-khez khabar mein rahta hai kab tak main ghar ke darwaze band karun khauf ye kaisa baam-o-dar mein rahta hai chunte the shahtut kabhi un raston mein ab pipal ka ped nazar mein rahta hai