mana har shakhs mere haq mein gawahi dega zulm-parwar jo wo thahra to saza hi dega kya guman tha mere ajdad ke raushan namo ye mera daur tumhein bakht-e-siyah hi dega tu hai ek ret muqaddar hai hawa ki thokar phir bhala kaun tujhe pusht-panahi dega mere jangal ki bhi wusat ko to dekha hota ek diya kya mujhe anjam bata hi dega main to rutha ki manate hue dekhun us ko kya khabar thi ki sitamgar wo bhula hi dega waqt badla to usi hath mein hoga khanjar ye na soch jab bhi uthega to dua hi dega na-khudaon pe bharosa na dubo de 'amir' qurb-e-sahil jo tujhe dega khuda hi dega