hasrato ab phir wahi taqrib hona chahiye phir kisi din baith kar fursat se rona chahiye jagte rahiye kahan tak uljhanon ke nam par waqt hath aae to gahri nind sona chahiye kya khabar kab qaid-e-baam-o-dar se ukta jae dil bastiyon ke darmiyan sahra bhi hona chahiye gum-rahi jin raston par mujh ko bahlati rahi mujh se ab wo raste mansub hona chahiye jaane kya soche zamana un ke ashkon par 'shamim' han na tum ko tanz ke nashtar chubhona chahiye