mana ki mera jism ye juTha gilas hai

mana ki mera jism ye jutha gilas hai
lekin ye dil to aaj bhi kora gilas hai

kitni hai kaisi mai hai yahi baat hai badi
chandi ya kanch ka sahi rahta gilas hai

kuchh tishnagi bhi rakhni thi jaanan sanbhaal ke
tum ne hifazaton se jo rakkha gilas hai

pine ka lutf hai tabhi jab ye rahe na ilm
tera gilas hai ki ye mera gilas hai

qimat to meri pyas ki bhi kam nahin huzur
ye aur baat aap ka mahnga gilas hai

tum ko bhi is jahan ka aa hi gaya chalan
pine ke baad tum ne bhi phenka gilas hai

munh se laga main pi gaya botal to shor kyon
shiddat ki pyas ko kahan milta gilas hai

duniya ka main zarur hun par sham hi talak
phir us ke baad to meri duniya gilas hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close