mana ki mere zarf se badh kar mujhe na do shabnam hi mangta hun samundar mujhe na do jis ko hawa ke rukh pe na khola gaya kabhi ek aise baadban ka muqaddar mujhe na do diwar jis ki sarhad sahra se ja mile aisi saza-e-khana-e-be-dar mujhe na do lau de rahi hai soch ke waqfa ki khamushi har baat ka jawab sambhal kar mujhe na do kuchh de sako agar to koi khwab saunp do saya talash karta hun paikar mujhe na do main aap apne jurm-o-saza ka harif hun ilzam-e-shauq sab ke barabar mujhe na do gar sun sako to 'shaz' ki khamoshiyan suno taklif-e-arz-e-haal mukarrar mujhe na do