zamin ne un ko sambhaala jo aasman se gire kahan hai un ka sahaara jo khak-dan se gire jo mutmain hain bulandi pe nakhl-e-khurma ki us aasman ko dekhen kabhi jahan se gire ab us ko dekh ke hi dil ko khauf aata hai buland-baam the hum kis qadar kahan se gire shikasta sang bade aastan ke waris hain ki tha maqam-e-mualla ye but jahan se gire jinhen nasib ne di eqtidar ki masnad unhen hai zoam the na-ahl jo yahan se gire