mana ki sai-e-ishq ka anjam-kar kya be-ikhtiyar dil pe magar ikhtiyar kya har zarra aashiyana-e-dil hai kahin thahar sahra-e-zindagi mein talash-e-diyar kya shayad ki shahr mein koi insan aa gaya dekho hujum sa hai sar-e-rahguzar kya sadiyon ka zahr pi ke jo soe wo kya uthe dasti hai zindagi ki khalish bar-bar kya har zarra lala-zar hai taza lahu ki tarah barsa hai is dayar mein abr-e-bahaar kya kyun meri khak-e-dil ki taraf multafit hain log kuchh ab bhi rah gaya hai dilon mein ghubar kya farda hai intizar mein sadiyan liye hue mazi ke mah-o-sal tumhaara shumar kya mamur hai nashat-e-gham-e-dil se zindagi tujh ko 'shamim' fikr-e-gham-e-rozgar kya