mana ki sakht hoti hai tir-o-tabar ki chot lekin buri bala hai kisi ki nazar ki chot tegh-e-ada ka war hai tir-e-nazar ki chot dil ki bachaun zarb ki rokun jigar ki chot badh kar hai zakhm-e-tegh se bhi zakhm baat ka ye chaar din ki chot hai wo umr bhar ki chot sine se wo mile to nazar se nazar mili dil ka bhara jo zakhm to ubhri jigar ki chot ehsan ka bar sahib-e-himmat ki maut hai meri dua qubul kare kyon asar ki chot dard intiha ka dil mein hai 'mahmud' aaj tak khai thi ibtida mein kisi ki nazar ki chot