khuda ki shan hai in mein agar mehr-o-wafa hoti to phir ye but jidhar hote udhar khalq-e-khuda hoti jafa wo tark karte gar unhen qadr-e-wafa hoti nazar nichi to jab hoti ki aankhon mein haya hoti hazaron galiyan wo de rahe the be-khata mujh ko jo puchha baat kya hai jal ke bole baat kya hoti tera wada hamari aarzu bekar hain donon jo ye hota to kya hota jo wo hoti to kya hoti khuda ne khair kar li hote hote rah gai hujjat meri un ki agar hoti to phir be-intiha hoti adu ka zikr khud chheda hai khud hi mujh se bigde hain ghazab hota agar meri taraf se ibtida hoti na leta nam bhi 'mahmud' un kafir buton ka tu samajh gar tujh mein thodi bhi are mard-e-khuda hoti