mana ki zalzala tha yahan kam bahut hi kam basti mein bach gae the makan kam bahut hi kam mere lahu ka zaiqa chakhta raha tha dard tanhaiyan thin raat jahan kam bahut hi kam kanton ko sinchti rahi parchhaiyon ki fasl jab dhup ka tha nam-o-nishan kam bahut hi kam aangan mein dhup dhup ko odhe udasiyan ghar mein the zindagi ke nishan kam bahut hi kam mafluj raat karb ke bistar pe let kar karti hai ab to aah-o-fughan kam bahut hi kam kyun doston ki bhid se ghabra na jae dil dushman to rah gae hain yahan kam bahut hi kam hum jab se pattharon ki tijarat mein lag gae hai dosti-e-shisha-garan kam bahut hi kam itni aziyaton se guzarne ke baad 'rind' khud par hai zindagi ka guman kam bahut hi kam