mana ki zindagi mein kuchh achchha nahin kiya lekin zamir ka kabhi sauda nahin kiya ruswa hue hain khud use ruswa nahin kiya chup-chap khae zakhm tamasha nahin kiya sajde mein jab jhukaya to dil se jhukaya sar hum ne wafa kei rah mein dhoka nahin kiya shayad tarash kar mujhe murat banae wo patthar se khud ko is liye shisha nahin kiya tode hain jam tare gine badli karwaten aa dekh teri shab mein kya kya nahin kiya daste hain sare khwab jo bachpan mein dekhe the 'ghafil' jawani mein jinhen pura nahin kiya