kisi kisi ko hi aate hain ras afsane

kisi kisi ko hi aate hain ras afsane
hamein to karte hain aksar udas afsane

nae zamane ke in mein kai ishaare hain
bahut purane hain go mere pas afsane

khushi ke waste jis ne gale lagaya unhen
usi ko chhod gae mahw-e-yas afsane

jinhen shuur se aari qarar dete the
wahi bane hain qayafa-shanas afsane

libas wale bhi padhte hain in ko chhup-chhup kar
jo main ne likhe hain kuchh be-libas afsane

wo ek pyase ne khun-e-jigar se likhe hain
jo ban gae hain samundar ki pyas afsane

wo ek pyase ne khun-e-jigar se likhe hain
jo ban gae hain samundar ki pyas afsane

khayal-o-khwab ke qisse nahin hain in mein 'asad'
hain ahd-e-nau ke haqiqat-shanas afsane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close