manazir hasin hain jo rahon mein meri tumhein dhundte hain wo banhon mein meri unhen kya khabar mujh mein rach se gae ho bichhad kar bhi mujh se ho aahon mein meri ajab be-khudi aap hi aap chhae tera nam aae jo aahon mein meri har ek su hai raunaq khayalon se tere abhi bhi mahak teri banhon mein meri mere sath bhi ho mere ham-qadam bhi nahin sirf ho tum nigahon mein meri