misal-e-sail-e-bala na thahre hawa na thahre lagae jaen hazar pahre hawa na thahre kahin kahin dhup chhup-chhupa kar utar hi aai dabiz baadal hue ikahre hawa na thahre waraq jab ulte kitab-e-mausam dikhae kya kya gulab aariz badan sunahre hawa na thahre wo sans umdi ki be-hison ne ghazab mein aa kar gira diye habs ke katahre hawa na thahre kabhi badan ke ruen ruen mein hawas ubhrin kabhi kare gosh hosh bahre hawa na thahre usi ki raftar-e-pa se ubhren nuqush-e-rangin kahin pe halke kahin pe gahre hawa na thahre sada-e-har-su falak ke gumbad mein gunjti hai hawa na thahre hawa na thahre hawa na thahre