mane to kis ki diwana mane jitni zabanen utne fasane andaz us ka ahwal mera kuchh main na samjhun kuchh wo na jaane allah re ye khud-e'timadi main ab chala hun un ko bulane gum-karda-e-rah kya sochta hai chhod aaya pichhe kitne thikane meri wafa ka wo mo'tarif hai apni khata ko mane na mane chaho to aao chaho na aao donon ke yaksan hile bahane kuchh mere gham se nisbat hai un ko yaad aa rahe hain kitne fasane kya hai 'salim' in baaton ka hasil kis ko chala hai tu aazmane