wo din kab ke bit gae jab dil sapnon se bahalta tha ghar mein koi aae ki na aae ek diya sa jalta tha yaad aati hain wo shamen jab rasm-o-rah kisi se thi hum bechain se hone lagte jun jun ye din dhalta tha un galiyon mein ab sunte hain raaten bhi so jati hain jin galiyon mein hum phirte the jahan wo chand nikalta tha wo manus salone chehre jaane ab kis haal mein hain jin ko dekh ke khak ka zarra zarra aankhen malta tha koi purana sathi bhi shayad hi hamein pahchan sake warna ek din shahr-e-wafa mein apna sikka chalta tha shayad apna pyar hi jhuta tha warna dastur ye tha mitti mein jo bich bhi boya jata tha wo phalta tha ab ke aise patjhad aai sukh gai dali dali aise dhang se koi pauda kab poshak badalta tha aaj shab-e-gham ras aae to apni baat bhi rah jae andhiyare ki kokh mein yun to pahle suraj palta tha duniya bhar ki ram-kahani kis kis dhang se kah dali apni kahne jab baithe to ek ek lafz pighalta tha