mangta hun khairiyat lab par dua rakhta hun main jaane wo kab laut aae ghar khula rakhta hun main jaanta hun us kei har naraazgi ko main magar apne hisse ka bhi to koi gila rakhta hun main wasl ho ya hijr us ke apne honge waswase us ka jo bhi faisla ho bas wafa rakhta hun main us ko bhi to gham bichhadne ka ye hona chahiye is liye us kei gali se silsila rakhta hun main jo mohabbat sachchi ho to laut ke aa jati hai aaj bhi is jeb mein us ka pata rakhta hun main uljha rahta hun main apne hi khayalon mein kahin koi to gham hai jo andar hi daba rakhta hun main lakh mushkil aae qasim chalta rakhna karwan dur hai par aankhen manzil par laga rakhta hun main