bandh jaen saman tanaben khul jaen kash khuda par meri duaen khul jaen main to bas is ki hi khushi mein ji lunga gar mere isa ki sansen khul jaen subh hui hai lekin abhi andhera hai itna mat jago ki ye aankhen khul jaen chand lakiren likh paen kitni tahrir ek jabin par kitni shiknen khul jaen us ke wasl se pahle maut na aae aur la-fani hone ki rahen khul jaen