mani ne jo dekha teri taswir ka naqsha sab bhul gaya apni wo tahrir ka naqsha us abru-e-khamdar ki surat se ayan hai khanjar ki shabahat dam-e-shamshir ka naqsha kya gardish-e-ayyam hai ai aah-e-jigar-soz ulta nazar aaya teri tasir ka naqsha din raat tere kuche mein rowe hai hamesha aashiq ke ye hai mansab o jagir ka naqsha tadbir to kuchh ban nahin aati hai 'nazir' aah ab dekhiye kya hota hai taqdir ka naqsha