kaun is bagh se ai baad-e-saba jata hai rang rukhsar se phulon ke uda jata hai shoala-e-shama mein garmi ye kahan se aai is ki garmi se to fanus jala jata hai dil ke dhadkon ka ye aalam hai ki be-minnat-e-dast purze ho ho ke gareban uda jata hai rabt pahle jo tere yaad kabhi karta hun baithe baithe mujhe afsos sa aa jata hai puchhta koi nahin kab se tere kuche mein dil kisi ka hai ki pamal hua jata hai gae we din ki tamanna hamein ek ashk ki thi ab to in aankhon se dariya sa baha jata hai sham ke waqt to kothe pe jo aata hai kabhi dekh kar tujh ko ye khurshed chhupa jata hai be-adab ke tain mutlaq nahin sohbat ka shuur shana kitna teri zulfon se laga jata hai yun qadam rakh na zamin par teri raftar se aah dil kisi ka hai ki mati mein mila jata hai 'mushafi' ishq ki wadi mein guzar hai kis ka bhula-bhatka koi idhar ko bhi aa jata hai