mannat-guzar dida-e-giryan na tha kabhi

mannat-guzar dida-e-giryan na tha kabhi
ye dil mariz-e-jalwa-e-jaanan na tha kabhi

us ko bhi tha hujum-e-tajalli se ehtiyat
main bhi haris-e-lutf-e-charaghan na tha kabhi

chupke se aaj wo bhi tah-e-khak so gae
jin ko khayal-e-gor-e-ghariban na tha kabhi

jo mo'atabar hua hai nigah-e-jamal mein
mahw-e-tawaf-e-sham-e-farozan na tha kabhi

ai be-charagh suni haweli ke basiyo
kya tum ko khauf-e-gardish-e-dauran na tha kabhi

kyon kam hua hai kucha-e-qatil mein eatibar
kya main asir-e-gesu-e-khuban na tha kabhi

nur-e-hira ke faiz se pahle to ai hayat
irfan-e-zat ka tujhe irfan na tha kabhi

simta hua hun sharm se mahshar ki bhid mein
dil mein khayal-e-daftar-e-isyan na tha kabhi

rakkhi mere zamir ne aab-e-ana ki laj
main zer-e-bar-e-khwaja-o-sultan na tha kabhi

'bazmi' tumhaare daur ki millat-faroshiyan
itna to be-zamir musalman na tha kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close