koi hadisa koi waqi'a na kaha hua na suna hua wahi chot dil pe lagi hui wahi dard tera diya hua ise pesh kar mere nama-bar ye thaki thaki meri chashm-e-tar yahi ek nama-e-mukhtasar na likha hua na padha hua tera khat hai ya koi zakhm-e-dil kahin mundamil kahin mustaqil kahin khun-e-dil se likha hua kahin aansuon se mita hua koi mahw-e-husn-o-jamal tha ki kamal-e-shauq-e-visal tha lab-e-auj-e-sidra-e-muntaha na ruka hua na thaka hua tere madrason mein kahan rahi wo dil-o-zamir ki raushni teri khanqah se bu-zari ka jalal kab ka hawa hua wahi but-faroshi-o-but-gari wahi jurm-e-shewa-e-azari wahi samri wahi sahiri wahi tur sar pe utha hua ye sharar sharar rah-e-pur-khatar ye shikasta par ye qafas ka dar kabhi is ke dar kabhi us ke dar kabhi dar-ba-dar sa kiya hua wo hikayaten wo shikayaten na kahi hui na suni hui ye junun ki aah-e-falak-rasa wo charagh-e-husn bujha hua use ras aa na saki kabhi sar-e-mai-kada teri be-rukhi wahi tera 'bazmi' wo baada-kash na jhuka hua na bika hua