mansur-war mahw-e-tamasha nahin hun main sab kuchh sahi kharab-e-tamanna nahin hun main pinhan tajalliyan hain isi musht-e-khak mein har-chand kuchh nahin hun magar kya nahin hun main socho to sare khel tamashe mujhi se hain samjho to koi khel-tamasha nahin hun main hai dard-e-ishq-e-yar mujhe jaan se aziz saudai-e-ilaj-e-masiha nahin hun main karta hun aazmaish-e-fariyaad ai falak ya tu nahin hai aaj ki shab ya nahin hun main hasil teri nigah se hai kaif-e-be-khudi harf-e-talash saghar-o-mina nahin hun main zauq-e-sukhan hai is liye likkhi gai ghazal 'ejaz' warna 'ghaalib'-o-'sauda' nahin hun main