piyo-pilao alarraghm daur-e-jam chale ye mai-kada hai yahan kis ki rok-tham chale wahan raho ki jahan hosh hi nahin aae wahan chalo ki jahan be-khudi se kaam chale nigah milte hi rukh par naqab dal liya wo subh ko bhi to meri bana ke sham chale shab-e-firaq wo ashkon ne raushni bakhshi andheri raat mein taron se jaise kaam chale fazaen mast huin li jo us ne angdai pada jo aankhon ka partaw zara to jam chale