manus aisa ho gaya tanhaiyon se main ab bhagta hun apni hi parchhaiyon se main duniya ne khair mujh ko to badnam kar diya darta hun ab to aap ki ruswaiyon se main hila to chahiye koi jaane ke waste sab kuchh samajh gaya teri angdaiyon se main us ka malal hai ki kahin ka nahin raha gir kar tere khayal ki baalaiyon se main 'fayyaz' is liye nahin uthte mere qadam waqif nahin hun ishq ki gahraiyon se main