meri mayus nazron ko tera didar ho jae to ye soi hui taqdir phir bedar ho jae qayamat ki kashish hai tujh mein jo bhi ek nazar dekhe wo tujh par jaan dene ke liye tayyar ho jae tera gham hai mata-e-zist ye main bhi samajhta hun magar wo kya kare jo zist se bezar ho jae tumhaare dar pe main kab se lagae aas baitha hun idhar bhi ek nigah-e-lutf ai sarkar ho jae udate ho hansi 'fayyaz' tum meri mohabbat ki meri surat tumhein bhi ishq ka aazar ho jae