manus ho gae hain gham-e-zindagi se hum hum ko khushi mile to na lenge khushi se hum phulon ki aarzu na karenge kisi se hum kante samet lae hain un ki gali se hum hum sham-e-gham ko subh-e-masarrat ka nam den suraj karen tulua na kyun tirgi se hum sach ke liye hum aaj ke suqraat ban gae pite hain jam zahr ka apni khushi se hum hum mil ke khud se khud ko bhi pahchante nahin apne liye bhi ban gae hain ajnabi se hum gham khate khate ho gaya manus-e-gham mizaj ho jate hain fasurda-o-mahwar khushi se hum hum ko watan mein ab koi pahchanta nahin apne watan mein phirte hain ab ajnabi se hum ban jaen kyun na khud hi numud-e-sahar ki zau 'asi' ziya talab na karen tirgi se hum