manzar-e-aKHir-e-shab yaad aaya

manzar-e-akhir-e-shab yaad aaya
uth ke jaana tera jab yaad aaya

waqt-e-akhir tha lagi thi hichki
apna wada unhen kab yaad aaya

zakhm kyon dekh rahe ho dil ke
kya mudawa tumhein ab yaad aaya

phir koi fitna uthega shayad
be-sabab main unhen kab yaad aaya

us ne phir yaad kiya hai 'mohsin'
dil dhadakne ka sabab yaad aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close