manzar-e-chashm jo pur-ab hua jata hai chaman-e-dil mera shadab hua jata hai wahi qatra jo kabhi kunj-e-sar-e-chashm mein tha ab jo phaila hai to sailab hua jata hai ek ehsas tha jo gham se daba rahta tha saz-e-gham ka wahi mizrab hua jata hai us ki palkon pe jo chamka tha sitara koi dekhte dekhte mahtab hua jata hai wo jo shirin-dahan is shahr mein aaya hai mere us ka bola hua shahdab hua jata hai mujh ko malum hai girdab-e-nazar ka dhoka jo bhi ahmaq hai wo betab hua jata hai